Crowd dekhi hai main patna me hi rahta hoon bihar ka hi hoon.. Crowd ho ya na ho lekin dusre ko paresan karne aur gunda gardi karne ka haq koi nahi deta.. Ek to without ticket upar se VIP jaisa behavior hota hai inka.. Aaj main train se bahut kam hi safar karta hoon is sabhi wajah se lekin past me jab meri pocket car ya flight allow nahi karta tha to train se hi safar karta tha aur main bahut taklif jhelta tha. Patna to Madhupur and Patna to Delhi ka itna travel tha ki kya bataun. Sab ko halt dila dila kar lal quila aur toofan bana do fir majboori me railway usko band karwade.. Itna hi train chadne ka sauk hai to memu train chalwane ke liye koi Andolan kyun nahi hota.. Sirf express train ko halt karwane ke liye gunda gardi karenge.